(Apne Ahsas Se Choo Ker Mjhe Sandal Ker Do) Best Wasi Shah Ghazal

Famous Urdu Sad ghazal poetry of wasi shah (Apne ahsas se choo ker mjhe sandal ker do) in beautiful images

Urdu dukhi udas mohabt ghazal of wasi shah

Urdu dukhi udas mohabt ghazal of wasi shah

Apne ahsas se choo ker mjhe sandal ker do
mein ke sadio se adhora hon mukamal ker do

na tumhe hosh rahe or na mujhe hosh rahe
is qadar  tot ke chaho mujhe pagal ker do

tum hatheli ko mere piyar ke mehndi se rango
apne ankhon mein mere nam ka kajal ker do

is ke sai mein mere khvab damak uthe gen
mere chere pe chamkta huva anchal ker do

dhoop he dhoop ho mein tot ke barso mujh per
is qadar barso mere roh me jal thal ker do

tum chupa lo mera dil oot mein apne dil ke
mujhe mere nighao se bhe ojhal ker do

masla ho to nighae na churao mjh se
apne chath se apne tawaja se hal ker do

apne gham se kaho har waqat sath rhe mere
aik ahsan kero ise musalsal ker do

mujh pe chaa jao kise aagg ki surat jana
or mere zat ko sokha hva jangal ker do

if you like wasi shah urdu sad poetry ghazal then ths blog is made for you in this blog all wasi shah poetry posted so please visit my blog

Post a Comment

0 Comments